Ragi In Hindi – इसके उपयोग, फायदे एवं नुकसान

Jaise ki aapko title se pata chal hi gaya hoga ki ye article ragi ke bare me hai to chaliye sabse pahele ye jane lete hai ki ragi akhir hai kya? – Ragi in hindi

 

Ragi kya hai? – Ragi in hindi

Ragi ek prakar se ek dhan (अनाज) hi hai jo bahut sare poshak tatvo se bharpur hai. ye sarso ke dane jaisa hi dikhta hai, agar aap ragi ko or sarso ke dana ko pas me rakhte ho to aap ko konsa ragi hai aur konsa sarso hai wo pahechan ne me thoda time lagega. matlab ki dono dikhne me ek jaise hi lagate hai.
 
Ragi me Amino Acids (अमीनो अम्ल), mitheonine (मेथोनायन), carbohydrates (कार्बोहाइड्रेट) mukhya rup me paye jate hai jo ki ek starch vale anaj me paye jate hai.
 
Ragi ekdam kadak (hard) anaj hai aur ye kahi desho me pakaya jata hai. bharat me ye himalay ki unchi pahadi vistar me ugaya jata hai. aur ragi ki fasal 1 saal me pak kar taiyar hoti hai.
 
To ye to thi kuch basic se jankari ki ragi kya hai ab hum janege ke ki ragi ka dusari bhasha me naam kya hai?, ragi se konsi konsi chije banayi ja sakti hai?, ragi ke fayde aur nukshan?, ragi ka bhav? aur ragi se jude kuch sawal – jwab ke bare me.
 
kher ragi ke fayde to bhut sare hai bado (adult) ke liye bhi aur bacho ke liye bhi aur agar aap ye janana chahte hai ki bacho ke liye ragi ke fayde kya kya hai to is article ko jarur padhe.
 
 

Ragi ka Dusri bhasha me naam kya hai?

  • Hindi (Ragi in Hindi) – मंडुआ, रागी, मकरा, मंडल, रोत्का
  • Marathi (Ragi in marathi) – नचीरी (Nachiri), नगली (Nagli), नाचणी (Nachini)
  • English – कोराकैन मिलेट (Coracan millet), इण्डियन मिलेट (Indian millet), अफ्राप्कन मिलेट (African millet), पोको ग्रास (Poko grass), Finger millet (फिंगर मिलेट)
  • Gujarati – पागली (Pagali), बावतोनागली (Bavtonagli), नावतोनागली (Navtonagli)
  • Punjabi – चालोडरा (Chalodra), कोदा (Koda), कोदों (Kodon), मंधल (Mandhal)
  • Marathi (Ragi in marathi) – नचीरी (Nachiri), नगली (Nagli), नाचणी (Nachini)
  • Bengali – मरुआ (Marua)
  • Tamil – केलवारागू (Kelvaragu), कयुर (Kayur)
  • Telugu – रागुलु (Ragulu)
  • Nepali – कोदो (Kodo)
  • Malayalam – मुत्तरि (Muttari)
  • Rajasthani – रागी (Ragi)
  • Arabic – तैलाबौन (Tailabon)
  • Persian – मन्डवाह (Mandwah)
  • Sanskrit – मधूलिका, नर्तक, नृत्यकुण्डल, बहुपत्रक, भूचरा, कठिन, कणिश
  • Oriya – मांडिया (Mandia);उर्दू-मंडवा (Mandwa)
  • Assamese – मरूबा धान (Maruba dhan)
  • Konkani – गोन्ड्डो (Gonddo), नाचणे (Nachne)
  • Kannada – रागी (Ragi)
 

Ragi ka bhav kya hai? – रागी का भाव

samanya dhan (सामान्य धन) ki kharid 1815 rs/kwintal hoti hai par ragi ki bat ki jaye to ragi ki kharid 3150 rs/kwintal ki jati hai. 
 

Ragi ki tasir kaisi hoti hai? – रागी की तासीर क्या होती है?

Ragi ki tasir garam hoti hai . iske rojana istmal karne se pahele aap apne doctor se salah jarur le. par agar aap rojana thodi matra me ragi khao to wo sharir ke liye bahut hi labhdayak hoti hai.
 

Ragi ke poshak tatva- रागी में पाए जाने वाले पोषक तत्व

Ragi me Amino acid (एमिनो अम्ल ), methonine (मेथोनाइन) paya jata hai. aur 100gm ragi me niche diye gaye poshak tatva paye jate hai.
 
कार्बोहाइड्रेट 72 ग्राम
प्रोटीन 7.3 ग्राम
वसा (fat) 1.3 ग्राम
खनिज 2.7 ग्राम
कैल्शियम 3.45 ग्राम
रेशा 3.45 ग्राम
ऊर्जा (energy) 327 किलोकैलोरी

Ragi ke fayde – रागी के फायदे 

Ajakal ke badalti jivansheli (जीवनशैली) ke chalte bahut se log koi koi na bimari se pidit rahete hai. kisi ko high Blood pressure to kisi ko diabetes ki smasya to kisi ko kabj (कब्ज) ki samsya raheti hi hai. aise me ragi ka seven bahut hi labhdayi raheta hai. kyuki iska sevan karne se kai sari bimariyo se chutkara mil sakta hai.
 
1. kai sari bimari ka ilaj (इलाज)
 
Ragi me antioxidant, fibers hote hai. agar aapko kabj ki problem hai, diabetes ki problem hai, heart (हदय) ki koi bimari hai to aapke liye ragi vardanrup raheti hai. ragi me calcium ki matra bharpur hai. 100gm ragi me 344mg calcium milta hai. or ye gluten (ग्लूटन) free anaj hai, jinko bhi gluten (ग्लूटन) se allergy (अलेर्जी) wo bhi ragi ko bejijak kha sakte hai.
 
2. pachan shakti badhaye – पाचन शक्ति बढ़ाये 
 
Ragi ka sevan pet se lagti samsya se chutkara dilata hai. ragi me mojud alkaline tatva sharir ke pachan tantra ko thik karta hai isi liye ye pachan shakti ho majbut banata hai. aur is se aapki kabj ki samsya bhi dur ho jayegi.  
 
3. haddi (हड्डी) se judi bimari dur kare – हड्डीओं से जुडी बीमारी दूर करे 
 
Aaj kal ki bhagti hui jindgi me logo ko haddi o ki samsya aam bat ho gai hai aur aise me sahi se diet (डायट) nahi le pane ki vajah se ye smasya din b din badhti ja rahi hai. par agar ragi ke sevan karte ho to ye samsya dur ho jayegi kyuki Ragi me se paye jane wala calcium aur phosphorus haddi o ke vikas me madad karta hai aur sath hi ye haddi o ko majbut banane ka kam karta hai. 
 
4. Ragi ek prakrutik (प्राकृतिक) anaj hai aur ye pachne me halka hota hai isi liye iska khachdi ya daliya bimar logo ko liye bahut faydemand hota hai.
 
5. Ragi ka sevan animia (एनीमिया) ke rogi ke liye acha hai. to animia ke marij ragi ko aram se kha sakte hai.
 
6. Ragi ka sevan breastfeed (स्तनपान) karne wali mahila o ke liye acha hai. ragi ke sevan se sharir ki kamjori aur dudh kam hone ki samsya dur ho sakti hai.
 
7. Ragi ka sevan vajan kam (weight loss) karne me bhi sahay karta hai. is me natural fat (प्राकृतिक वसा) paya jata hai.
 
8. Ragi ke sevan High BP (ब्लड प्रेशर) ke marijo ke liye bhi faydemand hota hai. High B.P. ke rogi ragi ki roti banakar bhi kha sakte hai.
 
9. Ragi ka sevan tvcha (त्वचा)को ki chamak badhata hai.
 

Ragi ke nukshan – रागी के नुकशान

Ragi bahut sare poshak tatvo se bharpur hai par iske jarurat se jyada sevan se nukshan bhi ho sakta hai. 
 
1. ragi ki tasir garam hoti hai to iska upyog garmi ki rutu (season) me kam matra me kare.
 
2. Ragi ka sevan jyada matra (मात्रा) me karne se aapko vomit (उल्टी), diahhera (दस्त), diziness (चक्कर) ki samsya ho sakti hai.
 
3. jis bhi logo ko stone (पथरी) ki samsya hoti hai unko ragi khilana uchit nahi hai.
 

Ragi se jude sawal – jawab – रागी से जुड़े प्रश्नोत्तर 

 1. Ragi kya hai? aur inse kya kya khane ki chije ban sakti hai?
Ragi ek prakar ka anaj hi hai jaise ki juvar aur bajra.
inse bahut sari poshtik chije ban sakti hai jaise ki,
  • Ragi Poriddge
  • Ragi Halwa
  • Ragi Khichdi
  • Ragi Dosa
  • Ragi Uttapam
  • Ragi khir
  • Ragi Upma
  • Ragi roti
  • Ragi pancake
  •  
2. Ragi ka Hindi Naam kya hai?
Ragi ko Hindi me (Ragi in Hindi) – मंडुआ, रागी, मकरा, मंडल, रोत्का kaha jata hai.
 
3. Ragi ka bajar me kya bhav hai?
samanya dhan (सामान्य धन) ki kharid 1815 rs/kwintal hoati hai par ragi ki bat ki jaye to ragi ki kharid 3150 rs/kwintal ki jati hai. 
 
4. Kya Ragi rojana khaya ja sakta hai?
Ragi ka sevan agar rojana sahi matra me kiya jaye to is se bahut labh hote hai. ye calcium aur iron ki kami ko dur karta aur sharir ko aram dilata hai.
 
5. Kya ragi sehat ke liye labhdayak hai?
Ragi ka sevan B.P. , Diabetes (डायबिटीस)  jaisi samsya ko bhi dur karta hai. to ha ragi ka sevan sehat ke liye labhdayak hota hai.
 
6. Kya ragi khane se balo ka girna kam hota hai?
Ha bilkul, ragi me protine ki matra jyada hoti hai.isi liye ragi khane se balo ke girne ki smasya dur hoti hai. jisko bhi balo ke zadne (गिरने) ki samsya hai wo ragi ko apne ahar me jrur shamil kare.
 
7. Kya ragi khane se vajan badhata hai?
Ragi me Dietry fiber (डायटरी फायबर) paya jata hai jis se ki pet lambe samay tak bhara raheta hai aur bhukh bhi kam lagti hai. jiske karan ye aapko weight loss (वजन कम करने) me madad karta hai. is se vajan badhta nahi hai.
 
8. Ragi Sabse bada utpdak state (उत्पादक राज्य) konsa hai?
Ragi himalay ke unch vistar aur Karnatak (कर्णाटक) me ragi ka sabse bada उत्पादक राज्य hai.
 
To ye thi ragi (Ragi in Hindi) ke bare me puri jankari jisme aapne jana ki ragi kya hai? , ragi ke fayde? , ragi ke nukshan? , ragi ka bhav? , ragi se kon si dish banayi jati hai? , ragi se jude kuch sawal-jawab.
 
 
 
 
 
 

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO