Apple Puree Recipe For Baby – 6 month baby food in hindi

Super Delicious Apple puree recipe for baby – 6 month baby food in hindi

 
 

Apple Puree baby ke first food me gini jati hai. baby 6 month ka ho jata hai tab usko apple puree dene ki shuruaat kar sakte hai.apple puree baby ke food me stage-1 me aati hai.

Baby jaise jaise bada hota jata hai tab usko jyada calories (energy) ki jarurat padti hai. to uske liye aap baby ko breastfeed ke sath sath upar ka khana yani ki fruits puree unko khila sakte ho.

 

Apple Puree kya hai? – Raw apple puree for baby

Apple puree pake hue apple (सेब) me se banayi jati hai. yani ki apple ki ek tarah ki smooth (चिकनी) paste (प्यूरी).
 

Apple puree aur apple sauce me kya tafavat hai?

Apple (सेब) puree ek tarah ki apple sauce ka hi part hai. but apple puree ko tukdo me katke cook kiya jata hai aur apple sauce ke liye usme pani milakar cook kiya jata hai.

 

Also Read : What Is Baby Led Weaning? How To Help Your Infant To Feed Themself –  बेबी लेड वीनिंग (बीएलडब्ल्यू) की शुरुआत

Apple ke fayde bacho ke liye?

Apple bacho ke liye bahut hi faydemand hota hai.ye carbohydrate se bharpur hote hai is liye bacho ko energy milti hai aur bache active rahete hai. aur isme vitamin C, Phytochemical aur fiber ka acha stort (स्त्रोत्र) hai jiske karan bacho me kabj (कब्ज़) ki shikayat nahi raheti.


Apple Puree kaise banaye? – 
 apple 

puree for baby recipe in hindi
Aap apple (सेब) puree ko backing karke, pressure cooker me, boil karke or, steam karke bhi bana sakte ho.
 
sabse acha agar aap apple ko steam karke puree banate ho to sabse best hai kyuki is se apple ki nutritional value barkarar raheti hai.
 
sabse pahele to aap baby ke liye khana bana rahe ho to aapko thodi jyada savdhani bartani padegi kyuki baby ko koi infection na ho is liye.
To uske liye aap apne handwash kar le aur jis bhi bartan me puree banane wale ho usko ache se wash kar le. aur apple ko bhi wash kar le.
 
1. apple ke chilke nikal de.
 
2. ab apple ko chote chote tukdo me kat dijiye.
 
3. ek bartan me pani 2 cup pani ubal ne ke liye rakh de.
 
4. pani wale bartan ke upar koi steel ki bade ched wali zarni (srtainer) rakh de jisme se steam (बाफ) nikal sake.
 
5. ab kate hue apple ko us strainer ke upar ache se fela dijiye.
 
6. ab upar se dhakan se aap cover (ढक) de.
 
7. 8-10 minute ke liye medium aach pe pakne de.
 
8. ab aapke pas steam huye apple tyar hai.
 
9. isko aap mixture jar ya blender ki madad se smooth (चीकनी) paste tyar kar le.   
 
10. ab aapki apple puree tyar hai baby ko khilane ke liye.
 
6 month baby food in hindi

 

 
11. aap agar is puree me cinnamon (दालचीनी) ka powder dal na chahte ho to wo bhi dal sakte ho. is se puree ka swad hai wo badh jayega. par ye bilkul optional (ऐच्छिक) hai.
 
Aap is tarah ki aur bhi purees bana sakte ho.jaise ki,
  • banana
  • avocado
  • sweetpotato
  • potato
  • carrot
  • beetroot
  • blueberries
 

Apple puree ko aap kis tarah se use kar sakte ho? 

Storing – is puree ko aap ice cube tray me freeze karke store kar sakte ho.jab jitni jarurat ho uske hisab se upyog me le sakte ho.
 
Baking – is puree ko aap apple flavor ki koi food back karne me dal sakte ho.
 
Apple puree dessert (sweet porridge) – is puree ko aap koi bhi porridge (खिचडी) banane me dal sakte ho. is se aapko upar se suger dalne ki jarurat nahi rahegi.
 
Eat With Bread – aap apple puree ko bread ke upar lagakar bhi kha sakte ho. ye khane me bahut hi yummy lagta hai. agar try nahi kiya to kar lena.
 
Use as a sauce – aap apple puree ko kisi ko bhi flavor (स्वाद) dene me dal sakte ho. jaise ki, icecream,candy etc.
 
Smoothie – aap apple puree ka upyog kar ke smoothie or cocktail bhi bana sakte ho ( बड़े लोगो के लिए ).
 
To ye thi puri jankari apple puree ke bare me jo ki 6 month baby food me gina jata hai. 
 
 

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO