Facts About Baby In Hindi – छोटे बच्चे के बारे में 30 रोचक जानकारी

Kya apko pata hai jab aap chote the tab ke aapke bare me kuch baby facts ? shayad nahi aur kahi sare parents ko bhi baby facts ke bare me nahi pata hoga to chaliye aaj jan lete hai kuch Facts About Baby In Hindi  yani ki छोटे बच्चे के बारे में रोचक जानकारी 
 
Bache man ke sache ye kahavat to sab ne suni hi hogi aur bacha banana kis ko accha nahi lagta. sab bade hoke yahi kehte hai ki wo kya din the bachpan ke ! kas koi aisi jadu ki chadi mil jaye jis se me chota bacha ban jau. sahi hai na? aur aap apne bachpan ke kuch bahetrin lamho me kho jate hai.
 

Facts About Baby In Hindi

 

1. Ek navjat (new born) shishu ke sharir me lagbhag 1 cup jitna khoon hota hai.

 
2. Ek bacha 1 saal me 15 pound (6.8 kg) jitna anaj kha jata hai.
 
3. Bache ka disposable diaper puri tarah se decompose (विघटित) hone me 500 sal lagate hai.
 
4. Bacha jab 4 mahine ka hota hai tab tak namak (salt) ka taste (स्वाद) nahi le pata hai.
 
5. Navjat shishu apne sir ko left (बाई) taraf ghumane ki bajaye right (दाई) ghumane ki sambhavna adhik hoti hai.
 
6. Kya aapne kabhi socha hai puri duinya me har 1 minute me kitne bache peda hote hai? – utar hai 250 baby/minute yani ki 4.16 baby/second
 
 
Facts About Baby In Hindi
7. Navjat shishu apne janm (new born) ke 1 week (हप्ते) tak black (काला) and white (सफ़ेद) hi dekh sakta hai kuch week ke bad unko sabse pahela jo rang dikhta hai hai vah hai red (लाल) rang.
 
8. Ek bache ka dimag (brain) tab tak viksit hona band nahi hota jab tak wo 20 sal ke ho jate hai.
 
9. Ek bache ka mastishk keval bhasha (languages) ko grahan karne ke liye pryapt (पर्याप्त) karyarat hota hai jab tak wo 4 sal ka to jata hai tab tak.
 
10. Bharat aur chin me female death (महिला शिशु मृत्यु) ek vartman samsya hai.
 
11. Ek bacha janm (birth) ke samay apni maa ki avaj aur gandh ko pahechan sakta hai.
 
12. Kya aapko pata hai ki keval 80 % bache hai wo janmachinh (bornmark) ke sath peda hote hai.
 
13. Bacha jab peda hota hai to uske sharir me ek bhi bacteria nahi hota.
 
14. America me har sal 1 lac se bhi jyada bache Cocaine (कोकीन) ke aadi peda hote hai kyuki unki maa ne pregnancy ke dauran drugs liya tha.
 
15. Ek bache ki aant (intestine) lagbhag 11 feet lambi hoti hai.
 
16. psychologist (मनोवैज्ञानिक) kahete hai ki bache apne janm ke kuch salo tak sapne nahi dekhte hai.
 
17. Ek bache me ek aadmi ke mukabale 60 haddiya jyada hoti hai.
 
18. Agar kisi mahila ko pregnancy ke dauran kisi bhi ang (part) me hani pahuchti hai to garbhaashay me pal raha bacha us ang ko thik karne ke liye stem cells (स्टेम सेल्स) bhejata hai.
 
19. Har 50,000 bache me se 1 bacha aisa hota hai jisme guda marg nahi hota.
 
20. Bache ki doctors ke dwara di gai date par peda hone ki sambhavana sirf 4% hoti hai.
 
21. cochlear ear kiss injury nam ki ek bimari hai jo batati hai ki bache ke kan ko kiss karne se wo bahera ho sakta hai.
 
22. Ladko ke bhi breast aur nipple is liye hote hai kyun ki shuruat me sabhi bhrun (भ्रूण) ladki hote hai. 
 
23. Garbh me pal raha bacha music sunane par jyada pratikiya deta hai.
 
24. Bache insani aavaj ko jyada pasand karte hai. isi liye wo sabse pahele shabdo ka anusaran karte hai na ki phone bajne ki aavaj ko.
 
25. Garbh me sabhi bacho ki muche (मूंछ) badhati hai jo bad me pure sharir ko dhank deti hai. aur bad me bacha unhi mulayam balo (lanugo) ko khata hai. aur wo unke birth ke bad sabse pahela jo mal (मल) karta unke sath bahar nikal deta hai.
 
26. America me har sal jitne bache peda hote hai us se dhai (ढाई) guna jyada Barbie Doll bechi jati hai.
 
27. Bache 7 mahine ki umra tak ek hi samay sans (breath) le sakte hai aur nigal bhi sakte hai. lekin hum aisa nahi kar sakte. Try kar lo!  
 
28. Ek 3 saal ke bache ki aavaj 200 logo se bhare hue ek restaurant me sabse tej hoti hai.
 
29. Janm (birth) lene ke bad ke 10 minite me hi bache ka dimag ka vikas itna ho jata hai ki wo samaj pata hai ki avaj kis taraf se aa rahi hai.
 
30. Choti bachiyo (बच्चीओ) ke bhi period aur sabhi bacho ke stan (स्तन) aur dudh (दूध) hote hai.
 
Also Read : 
 
To ye the kuch behtarin aur dilchasp Facts About Baby In Hindi . Umid hai ki aapko kuch nayi jankari mili hogi. agar ha to aap sabke sath share kar sakte hai.
 
Happy parenting.

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock