Bacho ka dimag tej kaise kare – बच्चों का दिमाग कैसे तेज करे?

Namaste Parents, Aaj ki is post me hum bat karne wale hai ki Bacho ka dimag tej kaise kare yani ki  बच्चों का दिमाग कैसे तेज करे?

Bacho ka dimag tej kaise kare - बच्चों का दिमाग कैसे तेज करे?

Aaj ke jaldi se badalate hue jamane ko dekhkar har maa-baap apne bacho ko smart or intelligent banana chahte hai. to iske liye aapko is article me kuch tips milegi jinka dhyan rakhke aap apne bache ka dimag tej kar sakte hai. waise to har ek bacha ka IQ level hai wo different hota hai par agar hum thodi or mehnat kare or thoda or dhyan de sake to hamara bacha jo hai wo smart ban sakta hai or uska dimag bhi tej ho sakta hai. to is article me aapko puri jankari mil jayegi ki bacho ka dimag tej kaise kare or बच्चों का दिमाग कैसे तेज करे?


To chaliye kuch tips dekh lete hai ki bacho ka dimag kaise tej kare?

Bacho ka dimag kaise tej kaise kare ?


1. bacho ko ghar me ek comfortable Atmosphere dijiye jisase ki bacha aram se apni activity kar sake. is se bacho ki brain power badhati hai.

2. bacho ke sath brain games yani ki memory games khele. usase bache ke mastisk me neurons count badhate hai isase bache ka dimag tej hota hai.

3. bacho hamesha active rakhiye. yani ki usase har roj koi na koi activity karaiye jaise ki..

  • painting
  • drawing
  • singing
  • dancing
  • memory games
  • puzzle solving
  • building blocks
  • crafting
 
4. bacho ko outdoor play karne dijiye jitna bacha jo hai wo bahar ki duniya me khelega utna hi unka physically & mentally development hoga. Agar ho sake to aap bhi unke sath outdoor games kheliye isase bache ko company bhi mil jayegi or bache ko aap ke sath time spend karne ka moka mil jayega.

5. bacho ko hamesha pyaar or dular se rakhiye. us ke sath hamesha shanti se bat kariye kyuki bacho ko sabse jyada parents ke pyaar ki jarurat hoti hai.

6. bacho ko poshak khana khilaye. uska khana nutrition se bharpur hona chahiye. ye ek bahut hi impornat hota hai aapke bache ke dimag ko tej karne ke liye.

7. bacho ko achhi nind dijiye, uski nind puri ho sake uska hamesha dhyan rakhe kyuki agar nind puri nahi hogi to bacha active nahi rahega or uske dimag ko nukshan ho sakta hai.

8. bache ke dimag ke vikas ke liye maths puzzles ya ni ki ganit bahut hi aham role nibhata hai. jitna aapka bacha maths sikhega ya fir maths ke puzzles solve karega utna hi unka dimag tej hoga .

9. bacho par bat bat pe gussa karne se bachiye. kyuki aap jitna bache par gussa karege utna hi bache ko tanav hoga or is tanav se jo hormone bante hai wo bache ke dimag ko damage (nukshan) pahuchate hai. to pehle bache ki bat ko puri tarah se suniye, samjiye fir koi reaction de.

10. bacho ko multiple languages (duasri bhasha) sikhaye. isase aapke bache ka dimage tej hoga. or jitna chota bacha hoga utna hi wo jaldi se sikh lega.

 
11. music sunane ki aadat banaye. bacho ko rojana kuch time ke liye music sunaye. is se bache ka brain devlopment teji se hota hai or ye scientifically proven hai.

to umid hai ki aap sabko yaha tak samaj me aa gaya hoga ki bacho ka dimag tej kaise kare. to ye kuch tips thi jo aap apne bache ke sath karege ho aapke bache ka dimag hai wo tej hoga or sath hi sath wo smart or intelligent banega.
bache ke dimag to tej karne ke liye nutritional khana bhi utna hi jaruri hai jo unke dimag ko to tej karta hi sath hi sath unke sharirik vikas (physical development) ko bhi badhata hai.
to bacho ke khane ke bare me aap humare dusare article ko padh sakte hai.


Happy Parenting.

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.