Bacho ko corona se kaise bachaye – बच्चों में कोरोना के लक्षण

Corona virus ka kaher bahut hi badhta jar aha hai. Ab to corona ki dusri laher bhi aa gai hai aur ho sakta hai ki corona ki tisri laher bhi jaldi hi aa jaye. To aise me sabko bahut hi savdhani baratne ki jarurat hai. Khas karke aged (बुजुर्ग) logo ko aur bacho ko jyada dhyan rakhna padta hai. Bacho ko agar corona ka sankraman ho jaye to unko jyada davaye bhi nahi de sakte aur unko remedisivir jaisi davaye bhi nahi de sakte. Aise me unko extra care ki jarurat raheti hai. To aapko yah janana avshyak hai ki बच्चों में कोरोना के लक्षण kya kya hai aur bacho ko corona se kaise bachaye?

To sabse pahele to ya jan lete hai ki 

 

CORONA VIRUS hai kya?

Corona virus ki shuruaat 2019 me chin ke vuhan city ke सीफ़ूड और पोल्ट्री बाजार me hui thi aur aj ya puri duniya me khauf ki tarah fel gaya hai. is virus ne duniya ke 70 country me kaher macha diya hai. Aur bade logo ke sath sath ab to bacho ko bhi khatra hai is virus se. To बच्चों में कोरोना के लक्षण kya kya hai aur bacho ko corona se kaise bachaye aur agar bacho ko crorna hua hai to use kaise bachaye  ye sab detail me janane ke liye is article ko pura padhiye.

 

 

 

Corona ke Laxan (लक्षण) kya kya hai?

Agar aap janana chahte ho ki corona ke laxan (लक्षण) kya hote hai to janiye jaise ki, halki si sardi, jukham hona. matlab ki corona ke symptoms pneumonia jaise hi lagte hai. Par dhire dhire ye sankraman (संक्रमण) badh jata hai. Aur dhire dhire sans lene me bhi taklif lagne lagti hai.

Agar is ke felne ki bat kare to ye virus kisi corona huye vyakti ke sampark (संपर्क) me aane se hota hai. Ye symptoms 2- 14 din ke bich me dikhay dete hai. Agar aapko bache me halki si sardi-jukham ki problem lage to turant hi aap use doctor ke pas le jaye kyuki bacho ko corona ki asar hoti hai to unko heavy dose vali davayi bhi nahi de sakte us se bahetar hai ki aap shuruaat me hi unki sharavar shuru kar do taki aage jake koi dikkat na aaye.

 

बच्चों में कोरोना के लक्षण 

Khansi – jukham
– Bukhar (2-3 din se lagatar)
– Gale me kharash
– Naak ka bahena
– Saans lene me taklif
– Ulti – dast ka hona
– Chahera fikka dikhna
– Hath per me sujan ho jana 


Kin Kin bato ka dhyan rakhe?

Social distancing 
– Bar bar hath dhote rahena
– Bahar jate time mask pahenana
– Sanitize karna
– Immunity badhana

 

Bacho me corona ke laxan (लक्षण) ko kaise pahechane?

Agar bache ko 2-3 din se lagatar bukhar jaisa lag raha hai sath me khasi-jukham jaisa lag raha hai to ho sakta hai ki usko corona ka sankramn hua ho aise me aapko jyada savdhani bartani hai aur turant hi doctor ke pas le jana hai.

 

Corona virus ka khatra bacho par kitna hota hai?

Corona virus ki bacho ke case me bat ki jaye to bacho ko corona se kam risk hota hai is liye ghabrane ki bilkul jarurat nahi hai bas thodi si savdhani parents ko rakhani padegi kyuki bacho par jyada roktok se bache ke dimag par bhi buri asar hoti hai aur abhi ke news report ke anusar ye kaha ja raha hai ki Corona virus ki tisri laher bhi aayegi aur ho sakta hai ki uska asar sabse jyada bacho par hi pade.

 

Bacho ko corona se kaise bachaye?

Corona ka kaher itna badh chuka hai ki iski zapet me 70% jyada log aa gaye hai aise me bache ko corona se bachana bahut hi jaruri hai. To bas aap niche diye gaye kuch bato ka dhyan rakh ke bacho ko asani se corona se bacha sakte hai.

 

1. Bacho ko mask pahen ne ki aadat daliye. Agar bache chote hai to unhe aap mask pahenaiye.

2. Kahi bhi bahar ja rahe hai to bacho ko social distancing ke bare me bataiye.

3. Aap aur bache bar bar soap se handwash kariye. 

4. Ho sake to bacho ko ghar se bahar na nikale.

5. Bacho ki immunity badhane ke liye healthy food aur nutrition se bahrpur khana khilaye.

6. Bache me corona ke kisi bhi tarah ke symptoms dikhai de to doctor se consult karne me deri na kare.

7. Aap kahi bahar se aa rahe ho to aap bath lijiye fir bache ke samprak me aaye taki bacho ko koi infection na ho. 

 

Bacho ko corona ho to kya kare?

Bahut savdhani rakhne ke bad bhi agar bacho ko corona ho jaye to himmat aur dhairya se kam le. Kyuki bacho ki jo care hai wo aapko hi karni hai. is liye aap niche di gaye tips ko follow karke bacho ko corona se bacha sakte ho.

 

– Bache ko gubara (balloons) fulane ke liye dijiye is se unke fefde (lungs) majbut hoge.

– Bache ko gunguna pani pine ko dijiye is se infection ka khatra ka mho jata hai aur gale ko bhi rahat milti hai.

– Bache ko breathing exercise karvaye is se unki immunity power strong hogi jis se bimari o se ladne ki takat milegi.

– Bache ko vitamin C yukt khatte fruits khilaye jis se bache ki immunity strong hogi.

– Bache ko haldi wala halka sa garam dudh pilaye. Haldi me anti-bacterial properties hoti hai jin se bache ko bimaro se ladne me madad milegi.

– Bache ko bar bar hath dhone ke liye yad karaiye aur ye habit daliye.

– Bache ko corona virus ke bare me savdhani samjaye usko daraiye nahi.

Yad rahe ki bache ko aapko himmat deni hai usko darana nahi hai bache ke man me jo sawal hota hai uska pyaar se jawab de. Is se bache ka manobal majbut rahega aur jaldi hi corona se bahar nikal jayega.

 

Agar Navjat (new born baby) ko corona ho to लक्षण (laxan) kaise pahechane?

– Agar bacha sust raheta hai.

– Bacha ekdam se khana-pina bandh kar de.

– Bacha Chichida ho jaye.

– Pahele ke mutabik jyada so raha hai to.

 

Agar navjat (new born baby) ko corona ho jaye to kya kare?

– Bache ko bina der kare turant hi doctor se consult  kare aur sarvar chalu kar de aur doctor ki di gai davaye (दवाएं) de.

 

Bacho ko khane me kya de?

– Bacho ko vitamin C yukt (युकत) fruit khane ko de.

– Chyavanpras de.

 

Bache ko konsi davaiye (दवाएं) de?

– Bacho ko doctor se consult karke hi davaiye de.

 

Kya bache family ke dusre person ko sankramit (संक्रमित) kar sakte hai?

– Ha bilkul, bache se bhi dusre person ko infection lag sakta hai is liye bacho ko agar corona hua hai to usko family ke dusre person se dur rakhe.

– Bache ko agar corona hua hai to uske sath 1 vyakti hi rahe.

 

Pregnant women (गर्भवती महिला) par kitna asar dalta hai corona virus?

Pregnancy ke daruan hormones me kafi utar-chadav aate hai jiske karan hormones imbalance ho jate hai aur isi ke karan immune system kamjor ho jata hai. is liye pregnant women ko corona virus se jyada khatra raheta hai. to usko apni pregnancy me jyada savdhani baratni padegi.

To ummid hai ki aapko is article me bache ko corona se kaise bachaye aur बच्चों में कोरोना के लक्षण kya kya hote hai ke bare me sari jankari mil gai hogi.

Happy Parenting.

ऐसे करे नवजात शिशु की मालिश | मालिश करने की विधि

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO