Bacha jab janam leta hai uske sath hi unka dudh pina shuru ho jata hai. Aur bache ko 2 tarike se dudh pilaya jata hai. 1) breast milk (स्तनपान), 2) Bottle se dudh (formula milk). Bottle se dudh pine ka matlab ye nahi hota ki bacha formula milk hi pi raha hai ho sakta hai ki breast milk bhi ho. Par jyadatar case me bottle me formula milk hi hota hai. To bache bottle se dudh pilane ke nukshan kya kya hai aur fayde kya kya hai is ke bare me hum is article me janege.
WHO ke anusar bacha jab tak 6 month (6 month baby) ka hota hai tab tak use maa ka dudh hi pilana chahiye kyuki bache ko tab maa ke dudh ki jyada jarurat hoti hai. Par agar maa ka dudh kam pad raha hai ya fir maa ek working mother (job/business ) hai to us case me bache ko bottle se feed karvana padta hai.
Bache ko ho sake utna स्तनपान (breast milk) hi dena chahiye kyuki bache ke avshyak nutrition usme se hi milte hai. Jitna bache ko maa ke dudh se poshan milta hai utna kisi bhi formula milk ya cow milk se nahi milta. Ye bat yad rakhe.
Agar aapka breastmilk aa raha hai to ye koshish kare ki bacha direct hi wo feed kare bajaye ki bottle se feed kare. Is se bahut sare fayde hai.
Par aaj hum janege bottle se feed karne ke nukshan aur fayde ke mare me.
बच्चों को बोतल से दूध पिलाने के नुकसान
Poshan ka abhav – पोषण की कमी
Jaise ki mene pahele bhi bataya ki bache ko jaruri poshan (nutrition) maa ke dudh se hi milte hai. Jitna takatvar maa ka dudh hota hai utne poshak tatva formula milk ya cow milk me nahi hota hai.
To agar aapka bacha bottle se dudh pi raha hai to shayad usme poshan ki kami reh sakti hai aur healthy bacha nahi ban pata.
Infection ka khatara – इंफेक्शन का खतरा
Agar aap bache ko bottle se dudh pila rahe ho to bache ko infection hone ka khatara bacha sakta hai. Kyuki aap jis bottle se usko dudh pila rahe ho us bottle ko ache se sterilize (garam pani se dhona) karna padta hai. Jitni bar aap bache ko bottle se dudh de rahe ho utni bar aapko bottle ko sterilize karna hi padta hai.
Agar aap is me koi bhi galti karte ho to uska nukshan bache ko hi hota hai. Bacha itna najuk hota hai ki unko turant hi pet me infection ho jata hai aur fir bacha bimar ho jata hai. To agar aap bache ko bottle se dudh pila rahe ho to ye bat ka dhyan jarur rakhna.
also read : नई माताओं के लिए स्तनपान कराने ki tips
Samay aur mahenat lagti hai – समय और महेनत लगती है
Agar aap bache ko bottle se dudh pila rahe ho to aapko jitni bar bache ko bhukh lage utni bar formula milk banana padta hai. Aur formula milk banana ke liye aapko bar bar pani ko garam karna padta hai aur uske bad wo dudh banata hai is liye agar aap bottle se dudh pila rahe ho to aapko banana me samay aur mahenat lagti hai.
Immune system nahi hota majbut – इम्यून सिस्टम नहीं होता मजबूत
Jo bacha bottle se dudh pita hai uska immune system (रोग प्रतिकारक शक्ति) weak ho jata hai kyuki jitne poshak tatva (पोषक तत्व) maa ke dudh se milte hai utne poshak tatva kisi bhi milk me mahi milte. Agar bache ki jarurat ka poshan usko nahi milehga to bache me rogo se ladne ki Shakti kam hogi aur wo jaldi bimar ho jate hai aur kai sare case me bache ka weight bhi nahi badh pata.
Mahanga padta hai – महँगा पड़ता है
Breastmilk to kudarat ki den hai is liye wo to bina kharche ke mil jata hai par agar aap bache ko formula milk de rahe to uski kiamt aapko chukani padti hai. Uske alawa aapko bache ke liye bottle bhi kharidni padti hai aur bottle aur bottle ke nipple ko samay samay par aapko badalna padta hai. Kyuki bar bar ek hi bottle use karne se bache ko infection ho sakta hai.
Formula milk banane ke liye aapko pani garam karna padta hai aur bottle ko bhi sterilize karna padta hai aur agar aapke pas itna time nahi hai to aapko pani garam karne ke liye electric kettle aur bottle sterilizer bhi lena padta hai. In sab me aapko kharcha karna padta hai. Is liye agar aap bache ko bottle se dudh pila rahe ho to mahanga padta hai.
Gas ki samsya – गैस की समस्या
Bacha jab bottle se dudh pita hai to bottle ke sath sath bacha hava bhi nigal jata hai jiske karan bache ke pet me gas ki samsya bhi ban sakti hai.
Aur formula milk ke karan bhi kai sare bacho ko usko pachane me taklif hoti hai jiske karan bache me gas ki samsya raheti hai.
Bar bar dudh ko banana – बार बार दूध बनाना
Aap bache ko jab formula milk dete ho to aap usko 1 hour tak hi rakh sakte ho uske bad aapko use fek dena padta hai kyuki 1 hour bad usme bacteria banana shuru ho jate hai jo ki bache ke liye hanikarak hai. Is liye aapko bache ke liye bar bar dudh banan padta hai aur bacha hua dudh ko fekne se aapke paise ki bhi barabdi hogi.
Maa aur bache ka rishta- माँ और शिशु का संबंध
Breastfeed karvane se bacha aur maa ek dusre ke karib aate hai is se maa aur bache ka rishta majbut banta hai. Par iska matlab ye nahi hai ki bottle se dudh pine se maa aur bacha karib nahi aate. Aate hai par breastfeed karte samay jitna bacha maa ke karib aata hai utna bottle se dudh pine me nahi aata.
Nind pura na hona – नींद का अभाव
Agar bacha bottle se dudh pita hai aur aadhi rat ko bache ko bhukh lagti hai to dudh banana ke liya maa ko bar bar uthna padta hai is liye nind ki kami raheti hai.
To ye the bottle se dudh pine ke nukshan. Par aisa nahi hai ki bottle se dudh pine ke sirf nukshan hi hote hai fayde bhi hote hai.
To janiye kya hai bache ko bottle se dudh pilane ke fayde ke bare me
Bache ko bottle se dudh pilane ke fayde
- Bacha jab bhi bhukha ho to koi bhi usko dudh banake pila sakta hai. Is se ghar ke baki sadsya (person) bhi bache ke najdik aate hai.
- Agar aap working women hai to aapke liye aapke bache ko bottle se dudh pilana asan raheta aur aap apne work pe bhi ja sakte ho. Par aap breastfeed karvate ho to aap apne work pe nahi ja sakti hai.
- Agar aap kahi bhi bahar ho aur bache ko bhukh lage to aap kahi bhi usko bottle se dudh pila sakte hai. Jab ki breastfeed karane ke liye aapko aisi jagah dhundhni padti hai jaha aapko koi dekhe nahi.
- Bache ko 6 month tak maa ka dudh de sakte ho uske bad aap chaho to bottle se dudh de sakte ho us se maa ko bhi aram milta hai.
To ye thi kuch bate bache ko bottle se dudh pilane ke nukshan aur fayde ke bare me ummid hai ki aapko ye article se sahi jankari mili hogi.
Happy Parenting.
ये भी पढ़े :
Bache ko healthy kaise banaye | दुबले पतले बच्चों का वजन कैसे बढ़ाएं