Parenting Quotes In Hindi – Hindi Parenting Quotes

Mata-Pita kya hote hai wo sab ko pata hi hota hai. par sabse jyada wo log hi janate hai jiske maa-baap (parents) nahi ho,kyuki maa-baap (parents) ki jagah koi nahi le sakta. bhagvan (GOD) khud bhi nahi. 

kyuki mata-pita (Parents) ka hamare upar jo ahesan hai unko hum kabhi bhi chuka nahi sakte. wo sari umar (life) hamare sapne pure karne me khud jina bhul jate hai taki hmare sapne pure ho, hum ek achhi jindgi ji sake, bhala is se achhi bat kya hogi koi bache (बच्चे ) ke liye. to hamara bhi farz banta hai ki hum unki value kare, unko duniya ki har khushi de sake, unko kabhi bhi hurt (दुखी) na kare.

To is article me aapko parenting ke bahut hi achhe quotes (Parenting Quotes In Hindi) mil jayege. jinko padhkar aapko apne mata-pita (parents) ki aur bhavnaye (feelings) banegi or app unki bhavnao (feelings) ko bhi samaj paoge. 

 



Aap is wale Quotes (Parenting Quotes In Hindi – Hindi Parenting Quotes) ko apne mata-pita (parents) ko whatsapp,facebook ya kisi bhi digital plateform pe share kar sakte ho. is quotes ko padh kar aapke mata-pita (parents) bhi bahut hi khush ho jayege ki unka bacha jo hai wo unki value karta hai.

Parenting Quotes In Hindi – माता पिता पर कुछ कोट्स

1. Budhe ho jate hai maa-baap aaulad ki khushiyo ki fikr me or aaulad samajti hai asar umra ka hai.
   
2. Rishte nibhakar jaan liya humane, Maa-Baap ke siva koi aapna nahi hota. 
 
3. Jaise jaise umra gujarti hai ehsas hone lagta hai ki maa-baap har chij ke bare me sahi kahte the.
 
 
4. Jannat ka ek tukda zameen par bhi hai jo meri maa ke kadmo me hai.
5. Bhagvan ne ye gun har ma ko diya hai ki vo pagal bhi ho jaye to bhi aaulad yaad raheti hai.
6. “Dua” mat gussa karna aapni maa par yaron woh “Maa” ki dua hi hai jo aapko har musibat se bachati hai.
7. Jo tumhari khushi ke liye har man sakta hai… Us vyakti se aap kabhi jit nahi sakte.. wo hai PAPA 
 
8. Dant kar bachho ko khud akele me roti hai, wo maa hai sahab jo aesi hi hoti hai.
 
9. Maa ki tarah koi khayal rakh paye to bas khayal hi ho sakta hai.
 
10. Pita hamesha neem ki ped jaisa hota hai jiske pate bhale hi kadve ho par chhaya hamesha thandi deta hai. 
 
11. Dum tod deti hai maa-baap ki mamata jab bacche kahete hai ki tumne kiya hi kya hai hamare liye
 
12. Puri duniya jit kar bhi agar maa-baap ka dil na jita to wo jit har ke saman hai.
 
13. Baap ki daulat nahi saya hi kafi hota hai.
 
 
14. Muje meri maa ne ek baat sikhayi thi beta koi hath se chhin ke le ja sakta hai, par nasib se nahi.
 
15. Duniya me keval pita hi ek aisa insan hai jo chahta hai ki mere bachhe mujse bhi jyada kamiyab ho.
 
16. Zindgi me khuda se bas itna mang lena ki… ek maa ke bina koi ghar na ho aur koi maa kabhi kisi ghar se beghar na ho.
 
17. Papa ko khush dekhna duniya ki sabse badi khushi hai.
 
18. Maa-baap ka hona bhi kisi khajane se kam nahi hai.
 
19. Aapke hi naam se jane jat hai PAPA bhala is se badi shoharat mere liye kya hogi.
 
20. PAPA se jyada aapko koi bigad nahi sakta or na hi koi sudhar sakta hai.
 
21. Mummy Papa ka pair chhune ka maja hi kuchh aur hai,jitna niche zukta hun utna hi upar uthata hun.
 
22. Maa ne sikhaya chizo ko jagah par rakhna
      Baap ne sikhaya logo ko aaukat me rakhana
 
23. Muje chhav me rakha aur khud jalta raha dhup me… mene dekha hai ek farishta mere pita ke rup me..
 
24. Na ho to roti hai zidde…Khwaisho ka dher hota hai..
      Pita hai to hamesha bacho ka dil sher hota hai…
 
25. Har dard seh leti hun..bas apne maa-baap ki aankho me aansu nahi dekh sakti hun…
 
26. Maa ki dua..
      Papa ka pyaar..
      Baki duniya to matlabi hai yaar.
 
27. Maa…
      Koi kitna bhi accha kyu na ho,meri maa ki kami ko koi poora nahi kar sakta.
 
28. Maa-baba ne bahut sokhin banaya aur sabse mahenga saukh imandari bataya.
 
29. Kisi ne roza rakha, kisi ne upvas rakha.. qabool sirf uska hua, jisne “maa-baap” ko aapne pass rakha.
 
30. Bhagavan se bhi bade “Mata-Pita” hote hai kyuki bhagavan sukh-dukh dono deta hai, par maa-baap sirf sukh hi dete hai.
 
To ye the kuch bahetrin Parenting Quotes In Hindi jo aapke liye..

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.