Ragi Kya Hai? – Bacho Ke Liye Ragi Ke Fayde

Bacha jab 6 mahina hota hai tab tak vo maa ka dudh hi pita hai. par 6 mahine ke bad unko jyada energy (उर्जा) ki jarurat padti hai aur tab unko sirf dudh se pet nahi bharta. to aap unko alag alag khana dena shuru kar sakte ho. jisme se ragi bhi shamil hai. to aj hum janege ragi ke fayde ke bare me.

To aapko is article me ragi ke bare me sari bate janane ko mil jayegi jo ki aapke liye janana bahut hi jaruri hai agar aap ek bache ke parents ho aur aap baby ko ragi khilana chahte ho to.

To sabse pahele to ye jan lete hai ki ragi hai kya? bahut sare logo ko pata hoga par jinko pata nahi wo aaj jan lege ki ragi kya hai? aur bacho ke liye ragi fayde kya hai?

Ragi kya hai?

 
Ragi aafrica aur asia ke sukhe area me ugaye jana wala anaj hai. yah 1 saal me pak kar taiyar ho jata hai. ya bharat me kuch 4000 sal pahele laya gaya tha. aur ye bahart ke unch vistar me ugaya jata hai. ragi ko nachni (नाचनी ), मंडुआफिंगर मिलेट bhi kaha jata hai. 
 

Ragi ke Poshak Tatva

Ragi poshak tatvo ka bhandar hota hai.ya gluton free hone ke sath sath antioxidant yukt hoti hai. ragi sirf bado ke liye hi nahi balki bacho ke liye bhi superfood me gini jati hai. ragi me protine, iron, aur calcium hota hai jo bacho ke sampoorna vikas me madad karta hai.
 
yaha par aapko jo poshak tatva bataye gaye hai wo 100gm ragi me se milte hai.
 
100gm ragi me,
3.9 mg iron, 137 mg magnesium, 11 mg sodium, 408 mg potassium , 0.47 mg copper, 5.49 mg manganese, 2.3 mg zinc,19.1 grams dietary fiber, 102 mg phenol, 72.6 grams carbohydrate, 344 mg calcium, 283 mg phosphorus,0.42 mg thiamine, 0.19 mg riboflavin and 1.1 mg niacin hota hai.
 

Ragi ka bhav kya hai?

Agar kwintal ki bat ki jaye to samanya anaj (सामान्य धन) rs. 1815 – 1835 /kwintal aata hai. par ragi Rs. 3100-3300/kwintal aati hai.
 

Kya Ragi bacho ke liye acha hai?

Ha Bilkul. humane pehle hi jan liya ki ragi kya hai aur ragi me kitne sare poshak tatva hai jo bache ki sharirik aur mansik vikas me madad karege. is liye ragi bacho ke liye acha hai.
 
Ragi ke fayde aur ragi benefits

 

Bacho ko ragi kab khilani chahiye?

Aap bacho ko 6 mahine pure hone ke bad se ragi khilana shuru kar sakte ho.ragi ka aata bazar me asani se mil jata hai. ya fir aap ghar pe bhi ragi ka aata tyar kar sakte ho.
 
aap bache ke thos ahar shuru kar rahe ho to usko ragi avshy hi de kyuki ragi me bahut sare nutritions hote hai jo bache ke vikas me madad karte hai.
 
Aap ragi se bahut sari dish bana sakte ho jaise ki, ragi ki porridge, ragi ka daliya, ragi ka dosa….
 

Ragi kaise banaye? 

Ragi ke aata ka upyog karke aap bahut sari dish bana sakte to aapke liye aur aapke bacho ke liye bhi. yaha par aapko kuch bahut hi asan dish ke naam diye gaye hai.
 

Ragi se Banane Wali Recipes ke Naam

  • Ragi Poriddge
  • Ragi Halwa
  • Ragi Khichdi
  • Ragi Dosa
  • Ragi Uttapam
  • Ragi khir
  • Ragi Upma
  • Ragi roti
  • Ragi pancake

Bacho ke liye ragi ke fayde 

  • Gluten Free – Ragi ek gluten free anaj hai. jin baccho ko gluten se allergy hoti hai wo ragi ko aram se kha sakte hai.
 
  • Asani se pachen wala – shuruaat ke time me bacha jab solid food lena shuru karta hai tab unki pachan kriya thodi si kam hoti hai. aise me agar aap unko ragi se bani koi dish khilate ho to wo asani se usko pacha lege.
 
  • Weight (वजन) badhana – ragi bahut hi poshtik hoti hai.agar aap bache ko ragi khilate ho to unka weight badhane me madad karti hai.
 
  • Animia ke liye – bacho me aksar khun ki kami ki vajah se animia ka khatara raheta hai. aise me agar wo ragi khata hai to unka hemoglobin sahi raheta hai. kyuki research ke anusar ragi hemoglobin ke star (स्तर) ko badhati hai.
 
  • calcium se bahrpur – bacho me calcium ki kami bahut payi jati hai aur iske karan hadiyo (हडियो) ki problem aa sakti hai. aise me agar bacho ko ragi khilaya jaye to unke liye faydemand raheta hai.kyuki ragi me bharpur matra me calcium hota hai jo bacho ki hadiyo aur teeth ke vikas me madadrup raheta hai.
 
  • Bimari se bachav – ragi me bahut sare gun hai. jaise ki wo antioxidant, antidiabetic, antibecterial hai.jo bacho ko bahut sari bimari se bacha sakta hai.
 
  • Protine milta hai – bacho ke sarir ko protine ki jarurat hoti hai. vegeterian (शाकाहारी)  logo ke bacho ko protine bahut kam chijo me se milta hai. aise me unko ragi khilaya jaye to protine ki kami dur ho sakti hai.ye bacho ki maspeshio ko majbut banae ka kam karta hai.
To ye sare ragi ke fayde hai jo bacho ke sampoorna vikas me madad karte hai.
 
Ragi ke fayde ke bare me jan liya ab aap soch rahe hoge ki sirf fayde hi hote hai? bacho ko koi nukshan nahi hota hoga ragi se? to iska bhi solution hai.
 

Ragi ke nuskshan

  • Sardi-jukam ki samsya – logo ka kahena hai ki Ragi ki tasir (तासीर) thandi hoti hai. is liye bacho ko adhik khilane se sardi-jukam ki samsya ho sakti hai.
 
  • Kideny ki samsya – Ragi ke jarurat se jyada sevan (सेवन) se bacho ke sarir me oxalic acid ka star (स्तर) badh sakta hai. jiske karan bacho ko kideny ki samsya ho sakti hai.
 
bas ragi se or to koi nukshan nahi hota hai. to aap ghabraye nahi aur bache ko sahi matra (मात्रा) me ragi khilaye aur bache ki tandurasti badhaye.
 
 
To ye thi ragi ke bare me jankari jo har parents (माता-पिता) ko honi chahiye agar wo apne bche ko tandurast banana chahte he to ki ragi kya hai aur bacho ke liye ragi ke fayde kya hai?
 
Happy Parenting.
 
 
 
 
 
 

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock